Hamsafar
Posted on 21. Jul, 2011 by Ali Abbas in Todays Thought, Urdu Poetry
main pareshan hun … aur meri pareshani yeh hai kay ajj kal mujhay koi pareshani nahi … aisa nahi kay main nashukra hun.. aisa bhi nahi kay mujhay iss ehsas ki ehmiyat ka andaza nahi.. mager buss.. ik ajeeb sa sakun tari hai mujh par.. shayad wajd main hun .. shayad intezar main .. yeh kia hai mujhay nahi maloom.. mager yeh jo bhi hai main isay taluq qata nahi kerna chahta.. kehtay hain khamosh samandar kisi baray tofa’an ka paisha khaima hota hai.. kia koi bara tofa’an anay wala hai? kia zingadi phir kisi aisay mor per pohanch gae hai jahan meri zaat ko taqseem hona hai? mujhay nahi maloom.. tou phir mujhay kia maloom hai? aur kia har baat ka maloom hona lazmi hai? shayad nahi .. shayad kabhi kabhi zindagi main khud ko shubhaat mai gherna he sab say acha laye amal hota hai.. wesay bhi zindagi kay
tamam faislay kaunsa hum khud kertay hain? mager yeh faisaly hum nahi kertay tou kaun kerta hai? waqt? halaat? ya phir Khuda? yeh kaisi uljhan hai.. yeh kaisi khushian hain jinkay hotay hway bhi dil udaas hai .. dil kiun udas hai? shayad islye kay usay anay wala waqt nazar araha hai .. hum kiun unn rahon per safar kertay hain jinka koi anjaam nahi hota.. hum kiun uss darya main utartay hain jiska koi kinara nahi hota.. aur kab tak iss rah-e-khardaar par chaltay rahain? pao’n tou kab kay lahu lohan ho chukay.. mager dard ka ehsas he nahi hota.. kesay ho? jab humsafar sath ho.. tab dard kesa? takeleef kesi? tab hosh kaisa? tab tou madhoshi ka alam hota hai .. apni fikar kisay hoti hai.. tab tou sirf humsafar ka khayal hota hai .. apni hasti apna app kahan zaruri lagta hai .. tab tou humsafar say kiye wado’on ka pass hota hai .. mager humsafar kaun hai? kiun meray sath chala ja raha hai? kiun ik khamosh wajood ban kar apnay honay ka ehsas dila raha hai? kaun ho tum? kiun apni khushian meri khatir barbaad kertay ho? kiun in kanto’on pay meray sath chaltay ho? jantay hona meri koi manzil nahi.. main ik bay naam rahi hun… kiun mujh pay bharosa kertay ho? main tou khud he dunya kay hungam main tanhae talash kerta hun .. tum kiun sabsay daman churatay ho .. tum kiun mujhko itna chahtay ho? tum kiun mujhko itna chahtay ho?

