|Wajiba’at kay muslim|
Posted on 02. Jun, 2011 by Ali Abbas in Morning Messages, Religion, Todays Thought
Humari qoum ka ik sab say bara masla yeh hai kay hum bari say bari burai ko bhi chota aur chotay say choti achai ko buhat bara samajhtay hain jis ka nateeja yeh nikalta hai kay humnay ghair mehsoos andaz say apnay app ko iss cheez ka a’adi bana lia hai. Is ka ik aur asar iss terhan say samnay aya hai kay humnay “achay muslman” ki tareef he badal di hai, ajj humaray ma’asharay main jo koi bhi 5 waqt ki namaz perhta hai aur rooza rkhta hai ussay hum acha muslman kehtay hain. Iss main tu koi shak he nahi k wo shakhs jo yeh sab kerta hai wo ik bawaqar muslman hai mager jo baat hum bhul jatay hain wo yeh k Islam is qadar mehdood bhi nahi! Yeh tu pehli seerhi hai jis per log qadam jama kay sari umar guzar daitay hain, agay ka safar tu buhat baaki hai! accha muslman banay kay lye humain pehlay “accha isnaan” bana hoga jiss ka asaan tareen nuskha yeh hai kay hum apni zindagi mai har waqat Islam ko practice karain aur usko apni shakhsiat ka hisa bana lain. Koshish karain kay hum sirf wajiba’at kay muslim ban kay na reh jain… bulkay humara maqsad yeh ho kay hum kirda’ar kay muslim ban ker dikhain!
Good Morning

